Sang tere rehna khayal banke,
Aati mujhe duji tarqeeb koi na!
Presenting the first song ‘Koi Naa’ from the movie ‘Bhool Chuk Maaf’, featuring Rajkummar Rao and Wamiqa Gabbi. Perfect to dedicate to someone who’s a romantic, let this speak the words of your heart to that special someone!
Song credits:
Singers : Harnoor & Shreya Ghoshal
Composers : Tanishk Bagchi & Gifty
Music Production : Tanishk Bagchi & Ganesh Waghela
Lyricist : Irshad Kamil
Mix Master : Eric Pillai @ Future sound of Bombay
Assistant Mix Engineer : Michael Edwin Pillai
Original Punjabi Music & Lyrics : Gifty
Original Song Licensed by Jatt Life Studios
Maddock Films presents
Cast: Rajkummar Rao, Wamiqa Gabbi, Sanjay Mishra, Seema Pahwa, Zakir Hussain, Raghubir Yadav, Ishtiyak Khan, Anubha Fatehpuria
Produced By: Dinesh Vijan
Directed By: Karan Sharma
Co-Producers: Sharada Karki Jalota
Music By: Tanishk Bagchi
Background Score: Ketan Sodha
Story Screenplay & Dialogues By: Karan Sharma
Director Of Photography: Sudeep Chatterjee
Lyrics: Irshad Kamil
Director of Choreography: Vijay A Ganguly
Song Lyrics:
Yaara mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
Kehta hai tujhko haseen aaina
Tujh mein hi rehta hai leen aaina
Bolo isey mujhko jalaya na kare
Lena maine tujhse ye chheen aaina
Mujhse hi sun le tareef apni
Shaadi wali milti lakeer apni
Teri meri duniya basegi jis mein
Aane wali jaldi tareekh apni
Tu to mere surmey jaisa
Tu to mere sapne jaisa
Akhiyon Mein
Rakhna hai
Sabse chhupa ke tujhko
Chupke se
Marzi se
Chaahungi tujhko
Yaara mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
Dilon ki ameeri mein gareeb koi na
Ashiqon se badh ke ajeeb koi na
Aankhein milein jab tab Jaan pe baney
Ishqey se oonchi to saleeb koi na
(Tere jaisa ik mera Yaar aaina
Chadhti jawani ka shingaar aaina
Dekho mujhe kitna guroor ho gaya
Leke aayin mujhpe nikhaar aaina)
Chura le mujhe ab Sajjana tu saara
Jawani tere naam kar di maine yaara
Laga ke tujhe honth se apne dekhun
Kahan se tu m meetha kahan se khaara
Paaniyon pe behte chiraag jaisi tu
Mehke gulaabon ke hai baag jaisi tu
Thandi hoti akkhiyann tujhe dekh ke
Chhooney se to lagti hai aag jaisi tu
Yaara mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
Tera mera ek jaisa haal ho gaya
Dooriyon mein rahna mohaal ho gaya
Le ke aaja jaldi. Baraat maahiya
Rang meri menhdi ka laal ho gaya
Tu to mere surmey jaisa
Tu to mere sapne jaisa
Akhiyon Mein
Rakhna hai
Sabse chhupa ke tujhko
Chupke se
Marzi se
Chaahungi tujhko
Yaara mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
Main tere pe mar gayi sajna re
Tu samjha na
Ishq se main bhar gayi sajna re
Tu samjha na
Tere aage peechhe ghoomti phirun
Piye bina hi main jhoomti phirun
Tere saaye ko bhi choomti phirun
Meri jaan
Tujhpe nisaar sajna
Yaara mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
‘Bhool Chuk Maaf In cinemas on 9th May 2025.